Friday, April 22, 2011

Aaj tu meri mohabat pe ek ehsaan kar,
Apne saare gum tu aaj mere naam kar,

Jo lamha rulata hai tujhe yaad bankar,
Apna woh aansoon meri nazron ke naam kar,

Suna hai chale jaate hai log tanha safar mein chor kar,
Par aaj tu mera haath thamkar zindagi ka safar paar kar,

Hai tujhse mujhe mohabat duniya ki har rasam tod kar,
Meri mohabat pe tu aaj itna sa aitbaar kar,

Chalna hai zindagi bhar mujhe tera saaya bankar,
Meri is aarzoo ko aaj tu dil se qabool kar...!!!


0 comments:

Post a Comment