Friday, April 22, 2011

jane kyun woh sanso ki dor tutne nahi deta
bas kadam aur chalne ka wasta dekar mujhe rukne nahi deta

bat kehta hai woh mujh se hans hans kar je lene ki
ajeeb shakhs hai mujh ko chain se rone nahi deta

ajj hosla deta hai mujhe chaand sitaron ko chu lene ka
woh pyara sa chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta

shayad janta hai woh bhi in ankhon main ansuon ka sailab hai
jane kyun phir bhi woh in ansoun ko girne nahi deta

mujh se kehta hai main to mar jaon ga tumhare bina
main zinda hoon ab tak woh mujhe marne nahi deta

0 comments:

Post a Comment