Sunday, January 16, 2011

Jab Bi Aate Hai Samne

Jab bi aate hai samne mera hal bura ho jata hai mera ,
Dara sa sahma sa rahta hai dil mera ,
Kahte kahte lave ruk jate hai na jane kya hoga mera ,
Intejar hai unke ijhar ka hum se to aaj tak kuch na hua


Kisi Ki Yaadoan Ne

Kisi ki yaadoan ne pagal bana rakha hai,
Mar na jau khi kafan sila rakha hai,
Dosto jalne se pehle mera dil nikal lena kahi vo na jal jaye
Jisse iss dil mai basa rakha hai.


Yaaden Satati Hai

Usse kehna maze mai hai hum,
Bas zara yaaden satati hai,
Uski duri ka gum nai mujhe,
Bas zara aankhe bheeg jati hai��� .
Usko Bas Itna Bata Dena,
Itna Aasaan Nahi Hai Tumhe Bhula Dena,
Teri Yaadein bhi Tere Jaisi hi Hain,
Unhe Aata Hai bas rula Dena.


Dil Ki Arzoo Hai

Dil ki arzoo hai ke aap se gale mile
Ankh kehti ke wo aap ko hi dekhe
Intezar kar raha hoon mai kab me
Ab aap batae aap kiya kehte hai


Dur Reh Kar Bhi

Dur reh kar bhi teri fariyad karte hain.
Apni tanhayi se teri baat karte hain.
Tu bhul ja ya khuf-ae-badnami se ho juda.
Har ghari har pal tujhi ko yaad karte hain.


Bohat Yaad Aati Hai

Bohat yaad aati hai tumhari,
Wo din jo humne guzare,wo time jo the pyaare.
Dur ho ke bhi tum hamme satta ti ho,
Din aur raat meri aakhoun ke samne aati ho.



Yaad Mai Unki

Yaad mai unki iss kadar khoye hum,
sokar bhi saari raat na soye hum,
chaha unhe khud se bhi jada,
par hans k puchte hai vo,
kiski yaad mai na soye hum


Tanha

tanha gujar rahi thi
tanha gujar rahi hai
jo ankhon mein bas gayi thi
wo dil mein utar rahi hai
wo cheez nahi hai tu
ho jisko bhulana asaan
ankhon ki roshni thi
sanson mein khusbu bankar bikhar rahi hai
sabnam ki boond ho tum
ya heera tarasa koi
chandni tere badan se
poonam ki bikhar rahi hai
jai� ko rijha liya tha
har adaa ne teri
dil mein samaye rehti thi
tasvir tu bhi meri
bhula diya tha jinko kabhi ka-
unki yaad aa rahi hai
jo sookhi padi thi sadiyon se
wo aankhein aansu baha rahi hai


Kab Tak

Kab tak khud ko rok paoge
Bina mere aap na reh paoge
Hum bas jayenge yaad me aapki is tarah ki
Phir aap dusre ko yaad karna bhi bhul jaogi


Teri Justju

Teri justju(talash) me bikhar jaana chahta hoon
kisi shab(raat) kahin thahar jaana chahta hoon
Chashamtar(bhigi aankhain) tera visal-e-intzaar bahut hua
tere roobaroo ab bifar(rona) jaana chahta hoon
Musafat(doori) se tera didaar bahut ho chuka
Ab to tere bahut kurab(nazdik) se guzar jaana chahta hoon
Teri khawahish dil me chhipaye ek arasa guzara
ab to tere isaq me kuchh kar jaana chahta hoon
Tujhe paana naamumkin hai ab jaan chuka hoon
Ab to tujhe nazaron me bharkar mar jaana chahta hoon..
by Irshad Rahbar




         Yaad Shayari

Phoolon Ka Kia Hai

Phoolon Ka Kia Hai Ye Khiltay Hein Bikhar Jatay Hein.
Log Dunyia May Miltay Hein Bichar Jatay Hein .
Mushkil Hota Hai Bholana Un Logo Ko.
Aank Key Rastey Se Jo Dil May Utar Jate Hein.


Yeh Rishtay Mohabbat Kay

Yeh Rishtay Mohabbat Kay Azmaiy Nahi Jatey
Aggar Toot Be Jaein Dil Se Bhulaye Nahi Jatey,
Koi Khaas Hi Hota Hai Palkon May Jo Rehta Hai
Sab Log Tu Dil May Aay Jaan may Basay Nahi Jatey
Sare Sapno Ki Kirnien Tao Ho Jati Hein Khud Roshan
Khawab Mohbat Key Soch Samajh Key Sajey Nahi Jatey
Mit Jata Hai Sab Khuch Magar Es Payar Key Rishtay May
Khuch Naqash Kabhi Dil Se Mitaye Nahi Jatey
Keh Do Yeah Zara Un se Huma Judai Tarpati Hai
Intzaar Key Diay Ab Hum Se Jalay Nahi Jatey.


Kabhi Tujh Se

Kabhi Tujh Se Shikayat Hai
Kabhi Khud Se Gila Hai Janah
Samajh May Yeah Nahi Ata Mujha Key
Tumhay Khona Hai Ya Pana
Nahi Humko Khabar Key Kahan Hum Ja Rahay Hein
Kahan Manzil Hai Aapni Kahan Humko Hai Jana


Aapke Intezzar Mein

Aaapke intezzar mein palkein bichaye baithe hain
Jaane kab aaoge tum par aaoge tum ye umeed lagaye baithe hain
Jab bhi aaoge dil par dastak jaroor hogi hamare
Bas isi ke intezaar ,ein dil par haath lagaye baithe hain !!!!!!!!!!


Akelay Ho Na Paieny

Akelay Ho Na Paieny Kabhi Tanhayee May Hum.
Hamaray Sath Aapni Yadoon Ka Aisa Qafila Rakhna.
Hamain Bus Aap Se Jana Faqat Itni Guzarish Hai.
Guftagu May Kamal Rakhna Aankhon May Haya Rakhna.
Tumharay Dost Tu Hein Or Be Laikin Gila Nahi.
Milo Un Se Magar Khud May Zara Sa Fasla Rakhna.
Hazaron Mor Ayein Gay Hamari Rah-e- Ulfat May.
Kabhi Judaa Na Hona Hamesha Hosla Rakhna.
Tumhari Zaat Se Hi Wabasta Hein Umeedien Sab.
Inhain Bujhanay Na Daina Tum Inhain Roshan Sada Rakhna.
Tumharay Hi Liay Tu Hein Meri Sari Wafaien.
Hamaray Dil Ki Dunyia Sab Logon Se Judaa Rahna.
nargis khalid


Tera Khawab

Tum Door Sahi Mujse
Sapnoo May Toa Aa Jao,
Bechain Mere Dil Ko
Pal Bar Behla Jao,
Koi Lamha Nahi Kat ta
Tumhe Chahay Bina Jana,
Yadoon se Nikal Kar Tum
Mere samnay Aa Jao,
Betab Si Dharkan Hai
Na Neend Hai Aankhon May,
Bekaif Tabiyat Ki
Koi Wahja bata Jao,
Bus Itni Si Khawahis Hai
Nadan Mere Dil Ki,
Phir aa Ke Chalay Jana
Ek Baar Toa Aa jao
(Nargis Khalid)


Dil Ke Malik

Tum hi ho mere dil ke malik, kaise tumhein samjhayein…
auron ke chere me bhi chera nazar tumhara ata hai, kaise tumhein yakeen dilayein…
kabhi ye ho nahi sakta ke hum kisi aur ko chahein yoon toot ke…
tere siva koi aur hume ab nahi bhata…
jaan lo tum ye jane-jahan… mere dil mein tere siva koi aur bas nahi sakta…
To the Man I can’t live w/o…
By Param


Ek Khwab Tha

Ek Khwab tha, Ki tu mere Khwabon me aye,
Viraan raaton ko meri, tu roshan banaye,
Nacheez ka Khwab ek fasana ban gaya,
Khwab mera bas Khwab hi reh gaya…
By Deep Jyoti


Najroan Se Dur

Hum Najroan Se Dur Hai Aankhoan se Nahi,
Hum Khawaboan Se Dur Hai Khayalo se Nahi,
Hum Dil Se Dur Hai Dharkano Se Nahi,
Hum Aap Se Dur Se Hai Aapke Yaado Se Nahi….
By Misty Kumari
(For-Raju)


Yaadon Ko Yaad Karke

Yaadon ko yaad karke askhoan ne daman thama mera,
tanhai ki raah guzer mein hawaon ne bhi saaath choda mera,
bas tera hi chehra har pal aankhon ke samne aata hai,
jis ek pal ko saari takdeer samaj baitha pagal dil mera.
Chahat ne chaha us dil ko
jis dil ki chahat bhi naseeb hui humko,
chaha to bhahut ki chahat ko pa le,
lekin chahat ne na chaha is dil ko.
Teri ankhon ke kajal ne humko deewana bana diya,
teri hothoan ki narmi ne humko pagal bana diya
ab is dil mein teri hi tasveer nazar ati hai
jis dil ko aapne apne chehre se saja diya.
aankhon ne talasha jis chehre ko wo ho tum
dil ne talasha jis dil ko wo ho tum
ab to aankhon mein bas tera hi chehra basta hai,
jis dil ki har dhadkan mein base ho tum.
by Jitendra Kumar Ahirwar
Dedicated to Jyotsna Chauhaa



         Yaad Shayari

Saath Rehne

Saath rehne ka wada na tha,
Door jaane ka irada na tha,
Hum yaad na aayenge ye jaante the hum,
Magar intni jaldi bhool jaaoge ye andaza na tha.
By Mecheleen


Teri Deewani Si

Teri deewani si yaad dar kar mere paas aa jati hai,
Na jane kisne usko meri kabr ko rasta bataya,
Aakar dekh to meri kabr ki halat ko,
Tere gam-e-intezaar ne usse sadiyon tak usko bhi kitna rulaya
By Keshav Verma


Mere Pyaar

Mere Pyaar main kami kuch na thi,
Na jaane tu kyon begana ho gaya,
Tujhe lagta hai ki khush hun mein
mujhe toa hase to ek jamana ho gaya…
By Poonam Kharel


Unke Pyar Ko

Unke pyar ko main bhulana nhi chahta
Apne jakham duniya ko dikhana nhi chahta,
Yaadein unki anmol hain mere liye,
Isliye to unhe ansuo me bahana nhi chahta….
Submitted by Divyarth


Waqt Be Waqt

Waqt be waqt wo yaad aata hai humko,
yaad aa ker bada satata hai humko,
kaise keh du mat yaad aao humko,
kyun ki unhi yaadon me nazar aata hai wo humko.
By vikrant gupta


Na Jaane Kyon

Na jaane kyon tumhari yaad stati,
Na jane kyon tumhe yeh dil maarjane yaad kare,
Kya yehi pyaar hai?
Kyon hum tumpe marte hai,
Kyon hum tumko chate hai,
Kya yehi Pyaar hai?
Tum pas aate ho to kuch hota hai,
Tum door jate ho ta jee gabrane lagda hai,
kya yehi pyaar hai?
Submitted By Kamaljit Kaur


Aapke Intezaar Main

Aapke intezaar main palkein bichhaye baithe hain.
Na jaane kab aaoge tum, par aaoge ye ummeed lagaye baithe hain,
Jab bhi tum aaoge dil par dastak zaroor hogi humare
Bas isi ke intezaar me dhadkane thaame baithe hain.
Submitted by Zaheen Khan


Dil Ka Kona

Dil ka kona hi khali na tha,
Dil ka sambhalna na khali hi tha,
Tu aaye to har khushi ka lamha khali na tha,
Teri har khushi ka ehsaas khali na tha,
Yeh to hui humari baat, uska darpan to khali na tha!
Submitted by Srishti Agarwal


Main To Yaadoan

Main To Yaadoan Ke Chiraago Ko Jalaane Me Raha,
Dil Ki Dehliz Ko Ashko Se Sajaane Me Raha,
Mud Gayi Woh To Sikko Ki Kanak Sunkar,
Main To Garibi Ki Lakeero Ko Mitaane Me Raha…..
Submitted By Dilip


Kuch Mithe Pal

Kuch Mithe Pal bahut yaad aate hain,
Palkoan par aansu chod jate hain .
Kall koi aur mile toa hame mat bhul jana,
Kuch anjane rishte zindagi bhar yaad aate hain.

0 comments:

Post a Comment