Saturday, January 29, 2011

Main Apnee Tamannaon Ko Yun Dabata Chala Gaya,
Uske Har zulm Ko Yun Mitata Chala Gaya,

Wo Samjhe Bhi Nahin Tanik Hamare Ishare Ko Kabhi,
Ya Wo Hamaree Nazron Se Nazar Churata Chala Gaya,



-----------------


Yeh Ishq Hi Hai Shayad Kai Haste Haste Ankhoun Se,
Ansu Chalak Se Jate Hain, Jitna Tumhai Bhulate Hain,

Tum Or Yaad Aate Ho, Tum Or Hamein Satate Ho,
Mera Dil Kai Khamosh Samandar Ko Tum Bekarar Kar Jate Ho,

Dor Kharay Jese Mere Ghamoun Pe Muskurate Ho,
Nazar Se Ghayab Ho Lekin As Pas Nazar Bhi Aate Ho.



-----------------


Jab se ek ajnabi ko apne dil mein basaya hai,
Tab se meri zindgi ka har rang nikhar aaya hai.

Har lamha har jagah bas usi ka hota hai deedar
Ab to kudrat ka har jalwa haseen nazar aaya hai.



-----------------


Kitaab-e-Ishq mein jitne alfaaz likhe hain,
Dil mein mere utne ehsaas rakkhe hain.

Tum keh kar dekhte sitamgar, zalim
Mere labon par kitne tere naam rakkhe hain.



-----------------


Is khamosh si zindagi mein tu koi soz jaga de,
Paimaane se duniya peeti hai, tu aankhon se pila de,

Tanhaaiyan hai, zindagi ke taar be-aawaz hai kabse,
Na pyaar ka geet sahi, dard ki ek jhankar utha de.



-----------------


Har mulakaat mein nighaein yahi fariyaad karti hain,
Ke kisi pal palat kar dekhne ko jee chahta hai.

Woh to hamein dekh kar andekha kar jate hain,
Ke unki nazron mein reh jane jo jee chahta hai.

Aapki mohabbat ne bahut rang de diye mujhe,
Ke ab in rangon mein rang jane ko jee chahta hai.

Ulajh chuka hoon is uljhe hue waqt ko suljhane mein,
Ke ab aapki uljhi zulfon ko suljhane ko jee chahta hai.



-----------------


Teri yaad mein deewane hoke hum chale,
Duniya ko bhool mastaane hoke hum chale.

Tu kya jaane is dil ka haal kya hai,
Hum kya the aur kya hoke hum chale.

Tum ne sambhaala to bedarr hoke hum chale,
Zameen ki dhool se zindagi banke hum chale.

Deewanepan ki had na poochiye janaab,
Tere ishq mein badnaam hoke hum chale.



-----------------


wo ashq bhi hame kuchh kam nahi pyare
aapko yaad karke jo aaye akhon me hamare

kurban lakh khushiyan yaar ese dard par
jo mila hai hamko ishq me tumhare.



-----------------


Uski Ankho Me Koi Dukh Basa Hai Shyad,
Yaa Muje Khud Hi Veham Sa Laga He Shayad,

MaiNe Pucha Khush Ho Tum?
Ponch Ker Aanso, Kaha UsNe , HAA SHAYAD..



-----------------


Ek shamma andhere mein jalaye rakhna,
Subha hone ko hai mauhaul banaye rakhna,

Kaun jane wo kiss gali se guzre,
Har gali ko phoolo se sajaye rakhna!



-----------------


Daikhna mujhe aur dair talak daikhty rehna,
Phir tasawur main khud se sharmaty rehna,

Her ada us ki pasad thi apni,
Sharmana ghabrana khud ko chupaty rehna,

Aj taqdeer ka zulm ki intaha hai nashtar,
Bichar gaya, socha jisy apnaaye rehna



----------------- 

0 comments:

Post a Comment